PUBLIC PROPERTY

Friday, December 05, 2008

Saath Tera...


Socha tha le jaaegi duniya,thaam kar ye haath mera,
Jab chali thi mai akad kar,chod kar aanchal tera.
Bheed mein tanhaayion mein dhoondthi chehra tera,
Aa gayee in bhediyon mein,ghoorein jo chehra mera.
De diya jo de sakoo aur jo bhi thaa apna mera,
Phir kyu hai ye nochtey aur roktey rastaa mera.
Badti chali har raastey phir bhi, jo tha himmat tera,
Khush nahi hai ab bhi duniya paa ke mujhko adh-maraa.
Chahiye mujhko na duniya chahiye na bhediye,
Chahiye toh bus woh pal,thaamaa tha jab aanchal tera.
Ab yahi hoon sochthi mil jaae tu aur saath tera,
Ab samajh mein aa rahaa ki kho gaya bachpan mera!